May 08, 2011

Suna Hai...


Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain 
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain 

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain 
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain 

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai 
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain 

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai 
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain 

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain 
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain 

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey 
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain 

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi 
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain 

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar 
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain 

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata 
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain 

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein 
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain 

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui 
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain 

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar 
Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain

No comments:

Pages